Thursday, March 1, 2018

Aashiq The Shahar Mein Jo Purane Sharaab Ke

Aashiq the shahar mein jo purane sharaab ke,
Hain un ke dil mein waswase ab ehtisaab ke,

Wo jo tumhaare haath se aa kar nikal gaya,
Hum bhi qateel hain usi khana-kharaab ke,

Phoolon ki sej par zara aaram kya kiya,
Us gul-badan pe naqsh uth aaye gulaab ke,

Soye to dil mein ek jahaan jaagne laga,
Jaage to apni aankh mein jaale the khwaab ke,

Bas tishnagi ki aankh se dekha karo unhein,
Dariya rawaan-dawaan hain chamakte saraab ke,

Okara itni door na hota to ek din,
Bhar laate saans saans mein gul aaftaab ke,

Kis tarah jama kijiye ab apne aap ko,
Kaaghaz bikhar rahe hain puraani kitaab ke.!!

"Adil Mansuri"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...