Yoon na tapka tha lahu deeda-e-tar se pahle,
Dekhna aag lagi phir usi ghar se pahle,
Jaise jaise dar-e-dildaar qareeb aata hai,
Dil ye kahta hai ki pahunchun main nazar se pahle,
Naama-e-yaar padhun main abhi jaldi kya hai,
Naama-baar ko to laga loon main jigar se pahle,
Be-hijaabi jo sahi hai teri shokh aankhon ki,
Rasm parde ki uthegi isi ghar se pahle,
Ai 'Jaleel' aap bhi kis dhyaan mein hain khair to hai
Khwahish-e-qadr-e-hunar kasb-e-hunar se pahle..!!
"Jaleel Manikpuri"
___
Khwahish-e-qadr-e-hunar = desire for value of profession/craft,
Kasb-e-hunar = tool of a craft,
No comments:
Post a Comment