Wednesday, March 7, 2018

Ye Kahna Us Se Ai Qaasid Jo Mahw-e-khud-parasti Hai

Ye kahna us se ai qaasid jo mahw-e-khud-parasti hai,
Ke tere dekhne ko aankh muddat se tarasti hai,

Bane hain jab se wo saaqi maze ki may-parasti hai,
Idhar may hai piyalon mein udhar aankhon mein masti hai,

Teri aankhon ke sadqe ek duniya un mein basti hai,
Fusu'n hai sahr hai aijaaz hai shokhi hai masti hai,

Tabaahi dil mein rahti hai kharaabi dil mein basti hai,
Yahi aabaad basti hai yahi veeraan basti hai,

Nigaaho'n se milaata hun nigaahein is tamanna mein,
Wo mere dil mein aa jaaye jo un aankhon mein masti hai,

Wo jins-e-dil ki qeemat poochhte hain main bataaun kya,
Yahi mahngi si mahngi hai yahi sasti si sasti hai,

Na sahba hai na saaghar hai na meena hai na khum saaqi,
Mujhe jo mast karti hai teri aankhon ki masti hai,

Azal se haq-parasti but-parasti sunte aate hain,
Magar ye aap ka mashrab niraala khud-parasti hai,

Jawaani ne diye hain un ko la kar ham-nashee'n kya kya,
Ada mein naaz chitwan mein haya aankhon mein masti hai,

Madaar-e-zindagi thehra nafas ki aamad-o-shud par,
Hawa ke zor se raushan charagh-e-bazm-e-hasti hai,

Tamasha hai meri rindi ki saaghar haath mein le kar,
Har ek se poochhta hun main kahin thodi si masti hai,

Firaaq-e-rooh kyunkar ho gawara jism-e-insaan ko,
Ujad kar phir nahin aabaad hoti ye wo basti hai,

Wo may-kash hun ki aata hai jo lab par naam tauba ka,
To mujh par josh mein aa kar ghata kya kya barasti hai,

Ajab shay jins-e-ulfat hai ke dil jaaye to haath aaye,
Hamesha ek qeemat hai na mahngi hai na sasti hai,

Jabhi tak aks qaaim hai ke aaina muqaabil ho,
Humaari ye haqeeqat hai humaari itni hasti hai,

Yaqeen jaano ki munh dekhi mohabbat hum nahin rakhte,
Wo aaina hai jo waarafta-e-soorat-parasti hai,

Bahut jhatke na de dast-e-junoon jeb-o-garebaa'n ko,
Rahe tujh ko lihaaz is ka purana rakht-e-hasti hai,

Dil-e-ashiq mein hasrat bhi hai armaa'n bhi tamanna bhi,
Wo jis basti mein rahte hain badi aabaad basti hai,

Fana awwal bhi thi aakhir bhi hona hai fana hum ko,
Karein kya do adam ke beech mein ek apni hasti hai,

'Jaleel' ustaad ka kahna suno baandho kamar tum bhi,
Ajab basti madina hai jahaan rahmat barasti hai..!!

"Jaleel Manikpuri"
_______________________________________

Mahw-e-khud-parasti = infatuated in self-worship,narcissism,
Fusu'n = enchantment, sorcery, magic,
Sahr = magic, sorcery,
Aijaaz = marvel, miracle,
Jins-e-dil = wares of the heart,
Sahba = wine, especially red wine,
Khum = a large jar, a pot of wine, Wine Barrel,
Mashrab = a reservoir of water,
Madaar-e-zindagi = axis of life,
Jins-e-ulfat = commodity of love,
Waarafta-e-soorat-parasti = loosened,macerated by face-worshipping,
Rakht-e-hasti =baggage of life,
Adam = nonexistence, negation, nothing, life after death,

1 comment:

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...