Uttha hai abr josh ka aalam liye hue,
Baitha hun main bhi deeda-e-pur-nam liye hue,
Saaqi ki chashm-e-mast ka aalam na poochhiye,
Ek ek nigaah hai kayi aalam liye hue,
Shabnam nahin gulon pe ye qatre hain ashk ke,
Guzra hai koi deeda-e-pur-nam liye hue,
Tay kar raha hun ishq ki dushwaar manzilein,
Aah-e-daraaz o girya-e-paiham liye hue,
Uth ai naqaab-e-yaar ke baithe hain der se,
Kitne ghareeb deeda-e-pur-nam liye hue,
Sunta hun un ki bazm mein chhalkenge aaj jaam,
Main bhi chala hun deeda-e-pur-nam liye hue,
Moti ki qadr sab ko hai phoolon ko dekhiye,
Kya hans rahe hain qatra-e-shabnam liye hue,
Josh-e-junoon mein lutf-e-tasawwur na poochhiye,
Phirte hain saath saath unhein hum liye hue,
Dil ki lagi na un se bujhi aaj tak 'Jaleel',
Dariya hain garche deeda-e-pur-nam liye hue..!!
"Jaleel Manikpuri"
No comments:
Post a Comment