Unhein aadat, hamein lazzat sitam ki,
Udhar shamsheer idhar taqdeer chamki,
Kahun kya dard-e-dil kab se badha hai,
Nigaah-e-lutf tum ne jab se kam ki,
Qadam choomenge tere ho ke paamaal,
Chalenge chaal hum naqsh-e-qadam ki,
Yahaan tak un ke waade jhooth nikle,
Qasam ko bhi hui haajat qasam ki,
Wo zulf-e-mushk-bu bikhri hui thi,
Khuli chori naseem-e-subah-dam ki,
Yahaan tak un ko paas-e-raaz-e-khat tha,
Ke khaame ki zabaan pahle qalam ki,
Zameen par is ada se paanw rakkha,
Ke aankhein khul gayin naqsh-e-qadam ki,
Kahaan peeri mein wo raushan-bayaani,
Zabaan to hai charagh-e-subah-dam ki,
Kahaan hum aur kahaan bakhshish humari
'Jaleel' ek mauj bhi abr-e-karam ki..!!
"Jaleel Manikpuri"
___________________________
Paamaal = trodden, ruined, trampled,
Khaame = pen, writing-reed,
No comments:
Post a Comment