Soye hue palang ke saaye jaga gaya,
Khidki khuli to aasman kamre mein aa gaya,
Aangan mein teri yaad ka jhonka jo aa gaya,
Tanhaai ke darakht se patte uda gaya,
Hanste chamakte khwaab ke chehre bhi mit gaye,
Batti jali to man mein andhera sa chha gaya,
Aaya tha kaale khoon ka sailaab pichhli raat,
Barson puraani jism ki deewar dhha gaya
Tasweer mein jo qaid tha wo shakhs raat ko,
Khud hi frame tod ke pahlu mein aa gaya,
Wo chaay pi raha tha kisi doosre ke saath,
Uujh par nigaah padte hi kuchh jhenp sa gaya..!!
"Adil Mansuri"
No comments:
Post a Comment