Ab wo galiyaan wo makaa'n yaad nahin,
Kaun rahta tha kahaa'n yaad nahin,
Jalwa-e-husn-e-azal the wo dayaar,
Jin ke ab naam-o-nishaa'n yaad nahin,
Koi ujla sa bhala sa ghar tha,
Kis ko dekha tha wahaa'n yaad nahin,
Yaad hai zeena-e-pechaa'n us ka,
Dar-o-deewar-e-makaa'n yaad nahin,
Yaad hai zamzama-e-saaz-e-bahaar,
Shor-e-aawaaz-e-khizaa'n yaad nahin..!!
"Ahmad Mushtaq"
___
Zeena-e-pechaa'n = spiralled staircase,
Zamzama-e-saaz-e-bahaar = whispering of instrument of spring,
No comments:
Post a Comment