Friday, March 2, 2018

Phir Kisi Khwaab Ke Parde Se Pukara Jaaun

Phir kisi khwaab ke parde se pukara jaaun,
Phir kisi yaad ki talwaar se maara jaaun,

Phir koi wusat-e-aafaaq pe saaya daale,
Phir kisi aankh ke nuqte mein utara jaaun,

Din ke hangaamon mein daaman kahin maila ho jaaye,
Raat ki nuqrai aatish mein nikhaara jaaun,

Khushk khoye hue gumnaam jazeere ki tarah,
Dard ke kaale samandar se ubhaara jaaun,

Apni khoi hui jannat ka talabgaar banun,
Dast-e-yazdaan se gunahgaar sanwara jaaun..!!

"Adil Mansuri"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...