Friday, March 2, 2018

Phaile Hue Hain Shahar Mein Saaye Nidhhaal Se

Phaile hue hain shahar mein saaye nidhhaal se,
Jaayein kahaan nikal ke khyaalon ke jaal se,

Mashriq se mera raasta maghrib ki samt tha,
Us ka safar junoob ki jaanib shumaal se,

Kaisa bhi talkh zikr ho kaisi bhi tursh baat,
Un ki samajh mein aayegi gul ki misaal se,

Chup-chaap baithe rahte hain kuchh bolte nahin,
Bachche bigad gaye hain bahut dekh-bhaal se,

Rangon ko bahte dekhiye kamre ke farsh par,
Kirnon ke waar rokiye sheeshe ki dhhaal se,

Aankhon mein aansuon ka kahin naam tak nahin,
Ab joote saaf kijiye un ke rumaal se,

Chehra bujha bujha sa pareshaan zulf zulf,
Allah dushmanon ko bachaaye wabaal se,

Phir paaniyon mein nuqrai saaye utar gaye,
Phir raat jagmaga uthi chaandi ke thaal se..!!

"Adil Mansuri"
___
Tursh = sour, acid, harsh, ill-tempered,
Nuqrai = silver bells,

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...