Friday, March 2, 2018

Paani Ko Patthar Kahte Hain

Paani ko patthar kahte hain,
Kya kuchh deeda-war kahte hain,

Khush-fahmi ki had hoti hain,
Khud ko danish-war kahte hain,

Kaun lagi-lipti rakhta hai,
Hum tere munh par kahte hain,

Theek hi kahte honge phir to,
Jab ye professor kahte hain,

Sab un ko andar samjhe the,
Wo khud ko baahar kahte hain,

Tera is mein kya jaata hai,
Apne khandar ko ghar kahte hain,

Nazm samajh mein kab aati hai,
Dekh is ko mantar kahte hain..!!

"Adil Mansuri"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...