Friday, March 2, 2018

Pahlu Ke Aar-paar Guzarta Hua Sa Ho

Pahlu ke aar-paar guzarta hua sa ho,
Ek shakhs aaine mein utarta hua sa ho,

Jeeta hua sa ho kabhi marta hua sa ho,
Ek shahar apne aap se darta hua sa ho,

Saare kabeera aap hi karta hua sa ho,
Ilzaam doosre hi pe dharta hua sa ho,

Har ek naya khyaal jo tapke hai zehn se,
Yoon lag raha hai jaise ki barta hua sa ho,

Qailoola kar rahe hon kisi neem ke tale,
Maidaan mein rakhsh-e-umr bhi charta hua sa ho,

Ma'ashooq aisa dhundhiye qahtur-rijaal mein,
Har baat mein agarta magarta hua sa ho,

Phir baad mein wo qatl bhi kar de to harj kya,
Lekin wo pahle pyaar bhi karta hua sa ho,

Gar daad tu na de na sahi galiyaan sahi,
Apna bhi koi aib hunarta hua sa ho..!!

"Adil Mansuri"
___
Qaiqoola = siesta, afternoon nap,
Rakhsh-e-umr = horse of life, the stead,
Qahtur-rijaal = drought, सूखा,

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...