Friday, March 2, 2018

Humein Sab Ahl-e-hawas Na-pasand Rakhte Hain

Humein sab ahl-e-hawas na-pasand rakhte hain,
Ke hum nawa-e-mohabbat buland rakhte hain,

Isi liye to khafa hain sitam-shiaar ki hum,
Nigaah-e-narm o dil-e-dardmand rakhte hain,

Agarche dil wahi raj'at-pasand hai apna,
Magar zabaan taraqqi-pasand rakhte hain,

Hum aise arsh-nasheenon se wo darakht achchhe,
Jo aandhiyon mein bhi sar ko buland rakhte hain,

Chale ho dekhne 'Mushtaq' jin ko pichhli raat,
Wo log shaam se darwaza band rakhte hain..!!

"Ahmad Mushtaq"
___
Sitam-shiaar = habitual oppressor,
Raj'at-pasand = conservative, returning,

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...