Friday, March 2, 2018

Dil Mein Wo Shor Na Aankhon Mein Wo Nam Rahta Hai

Dil mein wo shor na aankhon mein wo nam rahta hai,
Ab tap-e-hijr tawaqqo se bhi kam rahta hai,

Kabhi shole se lapakte the mere seene mein,
Ab kisi waqt dhuan sa koi dam rahta hai,

Kya khuda jaane mere dil ko hua tere baad,
Na khushi is mein theharti hai na ghum rahta hai,

Rishta-e-taar-e-tamanna nahin tooa ab tak,
Ab bhi aankhon mein teri zulf ka kham rahta hai,

Chhod jaati hai har ek rut koi khushbu koi rang,
Na sitam rahta hai baaqi na karam rahta hai..!!

"Ahmad Mushtaq"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...