Ashk daaman mein bhare khwaab kamar par rakkha,
Phir qadam hum ne teri rahguzar par rakkha,
Hum ne ek haath se thaama shab-e-ghum ka aanchal,
Aur ek haath ko daaman-e-sahar par rakkha,
Chalte chalte jo thake paanw to hum baith gaye,
Neend gathri pe dhari khwaab shajar par rakkha,
Jaane kis dam nikal aaye tere rukhsar ki dhoop,
Muddaton dhyaan tere saaya-e-dar par rakkha,
Jaate mausam ne palat kar bhi na dekha 'Mushtaq'
Rah gaya saaghar-e-gul sabza-e-tar par rakkha..!!
"Ahmad Mushtaq"
No comments:
Post a Comment