Thursday, March 1, 2018

Bismil Ke Tadapne Ki Adaaon Mein Nasha Tha

Bismil ke tadapne ki adaaon mein nasha tha,
Main haath mein talwaar liye jhoom raha tha,

Ghunghat mein mere khwaab ki taabeer chhupi thi,
Mehndi se hatheli mein mera naam likha tha,

Lab the ki kisi pyaali ke honthon pe jhuke the,
Aur haath kahin gardan-e-mina mein pada tha,

Mammam ke aaine mein shab doob rahi thi,
Cigarette se naye din ka dhuaan phail raha tha,

Dariya ke kinaare pe meri laash padi thi,
Aur paani ki tah mein wo mujhe dhundh raha tha,

Ma'aloom nahin phir wo kahaan chhup gaya 'Adil'
Saaaya sa koi lams ki sarhad pe mila tha.!!

"Adil Mansuri"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...