Thursday, March 1, 2018

Badan Par Nayi Fasl Aane Lagi

Badan par nayi fasl aane lagi,
Hawa dil mein khwahish jagaane lagi,

Koi khud-kushi ki taraf chal diya,
Udaasi ki mehnat thhikane lagi,

Jo chup-chaap rahti thi deewar par,
Wo tasveer baatein banaane lagi,

Khyaalon ke taareek khandaraat mein,
Khamoshi ghazal gungunaane lagi,

Zara der baithe the tanhaai mein,
Teri yaad aankhein dukhaane lagi.!!

"Adil Mansuri"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...