Chaaron taraf se maut ne ghera hai zeest ko,
Aur us ke saath hukm ke ab zindagi karo,
Baahar gali mein shor hai barsaat ka suno,
Kundi laga ke aaj to ghar mein pade raho,
Chhod aaye kis ki chhat pe jawaan-saal chaand ko,
Khamosh kis liye ho sitaaro jawaab do,
Kyun chalte chalte ruk gaye viraan raasto,
Tanha hun aaj main zara ghar tak to saath do,
Jis ne bhi mud ke dekha wo patthar ka ho gaya,
Nazrein jhukaaye dosto chup chup chale chalo,
Allah rakkhe teri sahar jaisi kam-sini,
Dil kaanpta hai jab bhi tu aati hai shaam ko,
Viraan chaman pe roi hai shabnam tamaam raat,
Aise mein koi nannhi kali muskuraye to,
'Adil' hawa'en kab se bhi deti hain dastakein
Jaldi se uth ke kamre ka darwaza khol do.!!
"Adil Mansuri"
No comments:
Post a Comment