Ab tootne hi waala hai tanhaai ka hisaar,
Ek shakhs cheekhta hai samandar ke aar-paar,
Aankhon se raah nikli hai tahtush-shu'oor tak,
Rag rag mein rengta hai sulagta hua khumaar,
Girte rahe nujoom andhere ki zulf se,
Shab bhar rahin khamoshiyan saayon se hum-kanaar,
Deewar-o-dar pe khushbu ke haale bikhar gaye,
Tanhaai ke farishton ne choomi qaba-e-yaar,
Kab tak pade rahoge hawaaon ke haath mein,
Kab tak chalega khokhle shabdon ka karobaar..!!
"Adil Mansuri"
___
Tahtush-shu'oor = subconscious,
Hum-kanaar = Embracing,
Haale = Halo,
No comments:
Post a Comment