Thursday, January 4, 2018

Shauq Apna, Aap Main Apni Zabaan Se Kyun Kahun

Shauq apna, aap main apni zabaan se kyun kahun,
Dil jo kuchh kahta hai wo us bad-gumaan se kyun kahun,

Tum samajh lo, soch lo, tum taad lo pahchaan lo,
Baat apne dil ki main apni zabaan se kyun kahun,

Kaan mein sun lo idhar aa kar meri ek baat tum,
Tum se kuchh kahta hun main saare jahaan se kyun kahun,

Dastaan awwal se suniye meri sunni hai agar,
Aap kahte hain jahaan se main wahaan se kyun kahun,

Kaan mein chupke se 'Bekhud' jo kaha hai yaar ne,
Rashk aata hai mujhe wo raazdaa'n se kyun kahun.!

"Bekhud Dehlvi"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...