Sabr aata hai judaai mein na khwaab aata hai,
Raat aati hai ilaahi ke azaab aata hai,
Be-qaraari dil-e-betaab ki khaali to nahin,
Ya wo khud aate hain ya khat ka jawaab aata hai,
Munh mein waa'iz ke bhi bhar aata hai pani aksar,
Jab kabhi tazkira-e-jaam-e-sharaab aata hai,
Kis qayamat ki ye aamad hai khuda khair kare,
Fitna-e-hashr bhi hum-raah-e-rikaab aata hai,
Rind-e-mashrab koi 'Bekhud' sa na hoga wallah,
Pi ke masjid hi mein ye khana-kharaab aata hai.!!
"Bekhud Dehlvi"
___
Waa'iz = preacher,
Fitna-e-hashr = calamity of doomsday,
Rind-e-mashrab = drinker of drinks,
No comments:
Post a Comment