Friday, January 5, 2018

Munh Pher Kar Wo Kahte Hain Bas Maan Jaaiye

Munh pher kar wo kahte hain bas maan jaaiye,
Is sharm is lihaaz ke qurbaan jaaiye,

Bhoole nahin hain hum wo mudaraat raat ki,
Ji chaahta hai phir kahin mehmaan jaaiye,

Bole wo muskura ke bahut iltija ke baad,
Ji to ye chaahta hai teri maan jaaiye,

Aage hai ghar raqeeb ka bas saath ho chuka,
Ab aap ka khuda hai nigahbaan, jaaiye,

Ulfat jata ke dost ko dushman bana liya,
'Bekhud' tumhaari aql ke qurbaan jaaiye.!!

"Bekhud Dehlvi"
___
Mudaraat = politeness, courtesy, hospitality,

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...