Friday, January 5, 2018

Ladaayein Aankh Wo Tirchhi Nazar Ka Waar Rahne Dein

Ladaayein aankh wo tirchhi nazar ka waar rahne dein,
Ladakpan hai abhi naam-e-khuda talwaar rahne dein,

Kahein kis munh se apna aaina-bardaar rahne dein,
Tamanna hai ghulaami mein humein sarkaar rahne dein,

Wo kyoon 'Bekhud' ko mahw-e-lazzat-e-deedar rahne dein,
Wo deewane nahin ghaafil ko jo hoshiyaar rahne dein,

Mere dam tak wafa o ishq bhi duniya mein baaqi hain,
Masihaai yahi hai wo mujhe beemaar rahne dein,

Qayamat aa gayi ab to gala murdaar ka kaatein,
Kahaan tak maut ko zinda tere beemaar rahne dein,

Isi parde ne umr-e-khizr shauq-e-deed ko bakhshi,
Qayamat tak wo apni garmi-e-bazaar rahne dein,

Sun ai qaasid unhein zid hai to hum ko baat ki pach hai,
Munaasib wo agar samjhein to ye takraar rahne dein,

Mere maatam ki kya jaldi hai kyoon zewar badhaate hain,
Abhi aarasta wo husn ka bazaar rahne dein,

Agar munkar-nakeer aate hain turbat mein to aa jaayein,
Na chhedein wo mujhe mahw-e-jamaal-e-yaar rahne dein,

Qafas mein bekaso'n ko kis ne poochha kaun poochhega,
Kahaan tak zakhm ki soorat mein wa minqaar rahne dein,

Nigaah-e-sharm ke zakhmi hain tegh-e-naaz ke bismil,
Tadapne ke liye hum ko pas-e-deewaar rahne dein,

Ye fiqre hain ye chaalein hain nazar laakho'n mein uth jaati,
Udu ke saamne wo ho gaye na-chaar rahne dein,

Jigar mein dard dil mein tees dam ghutne laga apna,
Bhala hum ek ghar mein aur do beemaar rahne dein,

Mohabbat se humein nafrat haseeno'n se humein wahshat,
Dil-aazaari ki baatein ab ye dil-aazaar rahne dein,

Humaare kaan lafz-e-bewafa sun hi nahin sakte,
Ye khil'at to udu ke waaste sarkaar rahne dein,

Meri turbat pe un ko sarf-e-beja ki zarurat kya,
Kabhi kaam aayega ye fitna-e-raftaar rahne dein,

Muqaddar ko badal dein wo zamaane ko khafa kar dein,
Magar apne tasawwur ko mera ghum-khwaar rahne dein,

Nazar un ki kahin, putli kahin, aankhein kahin un ki,
Ye gardish doosri soorat ki hai purkaar rahne dein,

Wo kyoon mujh ko tasalli dein wo kyoon pochhein mere aansu,
Ghira hai abr-e-ghum aankho'n ko gauhar-baar rahne dein,

Koi 'Bekhud' ki jaanib se zara samjhaye waa'iz ko,
Ibaadat ko farishte hain use may-khwaar rahne dein.!!

"Bekhud Dehlvi"
___
Aaina-bardaar = mirror bearer,
Mahw-e-lazzat-e-deedar = busy in enjoyment of seeing,
Murdaar = impure, squalid,
corpse, carrion,
Umr-e-khizr = everlasting life, the age of Prophet Khizr,
Shauq-e-deed = pleasure of sight,
Pach = respect for words,
Munkar-Nakeer = one of the pair of angels - Munkar_Nakeer,
Turbat = tomb, grave
क़ब्र,
Mahw-e-jamaal-e-yaar = absorbed in the beauty of beloved,
Minqaar = a bird's bill, a beak,
Khil'at = a robe of honour conferred by princes as a mark of distinction,
Sarf-e-beja = wasteful expenditure,
Fizool'kharchi,
Fitna-e-raftaar = mischief of speed/gait,
Abr-e-ghum = clouds of sorrow,
Gauhar-baar = raining pearls or gems,

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...