Kyoon kah ke dil ka haal use bad-gumaa'n karun,
Ye raaz wo nahin hai jise main bayaa'n karun,
Mujh ko ye zid ki wasl ka iqraar tum se loon,
Tum ko ye hat ki main na kabhi tujh se haa'n karun,
Ye kah rahi hai mujh se kisi ki nigaah-e-sharm,
Fursat agar haya se mile shokhiyaa'n karun,
Tu mujh ko aazma ke wafa-daariyo'n mein dekh,
Main bewafaaiyo'n mein tera imtihaa'n karun,
Ukta gaya hai shar'a ki paabandiyo'n se ji,
Dil chaahta hai bai'at-e-peer-e-mughaa'n karun,
'Bekhud' rafeeq hai na koi hum-tareeq hai,
Dil par jo kuchh guzarti hai kis se bayaa'n karun.!!
"Bekhud Dehlvi"
___
Shar'a = interpretation,
code of conduct,
Rafeeq = friend/ companion,
No comments:
Post a Comment