Friday, January 5, 2018

Lutf Se Matlab, Na Kuchh Mere Sataane Se Gharaz

Lutf se matlab, na kuchh mere sataane se gharaz,
Shokhiyo'n se kaam, un ko muskurane se gharaz

Us gali se kaam, un ka saamna ho ya na ho,
Mujh ko ho aana wahan tak, har bahane se gharaz,

Shikwa-e-aghyaar par zaalim ne yoon taala mujhe,
Tum ko hum se kaam hai, tum ko zamane se gharaz

Koi mausam koi din ho is se kuchh matlab nahin,
Hazrat-e-'Bekhud' ko hai peene pilaane se gharaz.!!

"Bekhud Dehlvi"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...