Khuda rakkhe tujhe meri buraai dekhne waale,
Wafadaari mein tarz-e-bewafaai dekhne waale,
Sambhal ab naala-e-dil ki rasaai dekhne waale,
Qayamat dhhayenge roz-e-judaai dekhne waale,
Tere khanjar ko bhi teri tarah hasrat se takte hain,
Teri naazuk kamar naazuk kalaai dekhne waale,
Jhijak kar aaine mein aks se apne wo kahte hain,
Yahaan bhi aa gaye soorat paraai dekhne waale,
Palak jhapki ke dil ghayeb baghal khaali nazar aai,
Teri nazro'n ki dekhenge safaai dekhne waale,
Inhin aankho'n se tu ne nek-o-bad aalam ka dekha hai,
Idhar to dekh ai saari khudaai dekhne waale,
Gire ghash kha ke jab moosa kaha barq-e-tajalli ne,
Qayamat tak na dega wo dikhaai dekhne waale,
Meri mayyat pe ban aai hai un ki sab se kahte hain,
Wafadaaro'n ki dekhein bewafaai dekhne waale,
Nazar milti hai peechhe pahle tanti hain bhanwein un ki,
Kahaan tak dekhe jaayein kaj-adaai dekhne waale,
Mita inkaar to hujjat ye nikli munh dikhaane mein,
Ke pahle jamaa kar dein ru-numaai dekhne waale,
Kahaan tak royein qismat ke likhe ko bas ulat parda,
Tujhe dekhenge ab teri khudaai dekhne waale,
Kabhi qadmo'n mein tha ab un ke dil mein hai jagah meri,
Mujhe dekhein muqaddar ki rasaai dekhne waale,
Koi itna nahin jo aa ke poochhe hijr mein 'Bekhud',
Tera kya haal hai ranj-e-judaai dekhne waale.!!
"Bekhud Dehlvi"
___
Tarz-e-bewafaai = manner of treachery,
Naala-e-dil = complaints, laments
crying heart
दिल की फ़रियाद,
Rasaai = access, reach, approach, skill,
Barq-e-tajalli = flash of lightning
प्रकाश फैलाने वाली बिजली,
Kaj-adaai = perverseness, perversity, crookedness, lack of gentility,
Hujjat = argument, reason, altercation,
Ru-numaai = showing the face, appearing before others, unveiling,
No comments:
Post a Comment