Jo tujhe imtihaan deta hai,
Kis khushi se wo jaan deta hai,
Kya diya hum ne jaan di jo use,
Ye to saara jahaan deta hai,
Chahiye aap ko to le lijiye,
Jaan ek na-tawaan deta hai,
Tujh se ba-waz'a hai tera khanjar,
Marne waalo'n pe jaan deta hai,
naam sunta hai jab wo 'Bekhud' ka
Gaaliya'n bad-zabaan deta hai.!!
"Bekhud Dehlvi"
No comments:
Post a Comment