Jo tamasha nazar aaya use dekha samjha
Jab samajh aa gayi duniya ko tamasha samjha,
Us ki aijaaz-numaai ka tamashaai hun,
Kahin jugnu bhi jo chamka yad-e-baiza samjha,
Main ye samjha hun ki samjhe na meri baat ko aap,
Sar hila kar jo kaha aap ne achchha samjha,
Asar-e-husn kahun ya kashish-e-ishq kahun,
Main tamashaai tha wo mujh ko tamasha samjha,
Kya kahun mere samaane ko samajh hai darkaar,
Khaak samjha jo mujhe khaak ka putla samjha,
Ek wo hain jinhein duniya ki bahaarein hain naseeb,
Ek main hun qafas-e-tang ko duniya samjha,
Mera har sheyr hai ek raaz-e-haqeeqat 'Bekhud'
Main hun urdu ka 'nazeeri' mujhe tu kya samjha.!!
"Bekhud Dehlvi"
___
Aijaaz-numaai = revelation; appearance; manifestation of miracle,
Yad-e-baiza = a white hand, a miracle, attributed to Moses,
Asar-e-husn = beauty's impact,
Darkaar = necessary, required, care,
Qafas-e-tang = narrow cage,
No comments:
Post a Comment