Friday, January 5, 2018

Jhooth Sach Aap To Ilzaam Diye Jaate Hain

Jhooth sach aap to ilzaam diye jaate hain,
Baat sunte nahin dushnaam diye jaate hain,

Tirchhi nazro'n se kiye us ne bahut dil zakhmi,
Teer tedhe magar kaam diye jaate hain,

Kah gaya ye bhi koi rooth ke jaane waala,
Hum tujhe maut ka paighaam diye jaate hain,

Paasbaan jaag uthein wo to unhein de dena,
Likh ke kaaghaz pe ye ek naam diye jaate hain,

Aap ke lutf-o-inaayat ka yahi hai badla,
Ghum liye jaate hain aaraam diye jaate hain,

Dil hua jaan hui un ki bhala kya qeemat,
Aisi cheezo!n ke kahin daam diye jaate hain,

Teer-e-qaatil ko kaleje se laga rakkha hai,
Hum to dushman ko bhi aaraam diye jaate hain,

Kaam aa jaayega dushman ki mohabbat mein kabhi,
Ehtiyatan dil-e-nakaam diye jaate hain,

Ab to khul khele wo 'Bekhud' se khuda khair kare,
Ab to khud bhar ke use jaam diye jaate hain.!!

"Bekhud Dehlvi"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...