Jataaye jaate hain ehsaan bhi sata ke mujhe,
Sikha rahe hain wo goya chalan wafa ke mujhe,
Rakha na hum ko kahin ka teri mohabbat ne,
Wo kah rahe hain adu se suna suna ke mujhe,
Tameez-e-ishq-o-hawas peshtar na thi un ko,
Wo aur ho gaye maghroor aazma ke mujhe,
Shab-e-wisaal adaayein bhi hain jafaayein bhi,
Dikhaaye jaate hain andaaz kis bala ke mujhe,
Jo sair dekhni manzoor hai tumhein 'Bekhud',
Bhida do hazrat-e-zaahid se may pila ke mujhe.!!
"Bekhud Dehlvi"
___
Sair = amusement, excursion, jaunt, recreation,
Peshtar = before, formerly, prior to,
No comments:
Post a Comment