Saturday, January 6, 2018

Hua Jo Waqf-e-ghum Wo Dil Kisi Ka Ho Nahin Sakta

Hua jo waqf-e-ghum wo dil kisi ka ho nahin sakta,
Tumhaara ban nahin sakta humaara ho nahin sakta,

Suna pahle to khwaab-e-wasl phir irshaad farmaya,
Tere ruswa kiye se koi ruswa ho nahin sakta,

Lagaawat us ki nazro'n mein banaawat us ki baato'n mein,
Sahaara mit nahin sakta bharosa ho nahin sakta,

Tamanna mein teri mit jaaye dil haan ye to mumkin hai,
Mere dil se mite teri tamanna ho nahin sakta,

Na fursat hai na rahat hai na 'Bekhud' wo tabiyat hai,
Ghazal kya khaak likkhein sheyr achchha ho nahin sakta.!!

"Bekhud Dehlvi"
___
Waqf-e-ghum = engrossed in pain,

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...