Saturday, January 6, 2018

Hijaab Door Tumhaara Shabab Kar Dega

Hijaab door tumhaara shabab kar dega,
Ye wo nasha hai tumhein be-hijaab kar dega,

Mera khyaal mujhe kaamyaab kar dega,
Khuda isi ko zulekha ka khwaab kar dega,

Meri duaa ko khuda mustajaab kar dega,
Tera ghuroor mujhe kaamyaab kar dega,

Ye daagh khaaye hain jis ke firaaq mein hum ne,
Wo ek nazar mein unhein aaftaab kar dega,

Kiya hai jis ke ladakpan ne dil mera tukde,
Kaleja khoon ab us ka shabaab kar dega,

Suni nahin ye masal ghar ka bhedi lanka dhhaye,
Tujhe to dil ki khabar iztiraab kar dega,

Na dekhna kabhi aaina bhool kar dekho,
Tumhaare husn ka paida jawaab kar dega,

Kisi ke hijr mein is dard se duaa maangi,
Nidaa'ein aayin khuda kaamyaab kar dega,

Ghum-e-firaaq mein girye ko shaghl samjha tha,
Khabar na thi meri mitti kharaab kar dega,

Kise khabar thi tere zulm ke liye Allah,
Mujhi ko roz-e-azal intikhaab kar dega,

Utha na hashr ke fitna ko chaal se nadaan,
Tere shaheed ka be-lutf khwaba kar dega,

Wo gaaliya'n humein dein aur hum duaa'ein dein,
Khajil unhein ye humara jawaab kar dega,

Jawab-e-saaf na de mujh ko ye wo aafat hai,
Mere sukoon ko bhi iztiraab kar dega,

Kahin chhupaye se chhupta hai laal gudrhi mein,
Farogh-e-husn tujhe be-naqaab kar dega,

Teri nigaah se badh kar hai charkh ki gardish,
Mujhe tabaah ye khana-kharaab kar dega,

Duboyegi mujhe ye chashm-e-tar mohabbat mein,
Kharaab kaam mera iztiraab kar dega,

Raqeeb naam na le ishq ka jata dena,
Ye shola wo hai jala kar kabaab kar dega,

Wafa to khaak karega mera udu tum se,
Wafa ke naam ki mitti kharaab kar dega,

Ajib shakhs hai peer-e-mughaa'n se mil zaahid,
Nashe mein choor tujhe be-sharaab kar dega,

Bado'n ki baat badi hai humein nahin baawar,
Jo aasmaan se na hoga habaab kar dega,

Bhalaai apni hai sab ki bhalaai mein 'Bekhud',
Kabhi humein bhi khuda kaamyaab kar dega.!!

"Bekhud Dehlvi"
___
Mustajaab = granted, acceptable, agreedble
मंज़ूर या क़ुबूल किया हुआ,
Masal = like, for example
proverbial
की तरह,
Nidaa'ein = voice, call to prayer, calling, vocative,
Qirya = weeping, crying,
Shaghl = hobby,
Roz-e-azal = first day
आदिकाल,
Intikhaab = election, selection
चुना हुआ,
Hashr = doomsday, resurrection, tumult
प्रलय, हालत,
Shaheed = a martyr,
Khajil = embarrass,
Laal = dear,
Gudrhi = bale,
Farogh-e-husn = splendour of beauty,
Charkh = Sky/ wheel,
Gardish = revolution, circulation, misfortune, wandering about,
Peer-e-mughaa'n = a tavern keeper, chief of fire, worshippers
मदिरालय का बूढ़ा प्रबंधक,
Zaahid = hermit, devotee, abstinent, religious devout,
Baawar = belief, faith, confidence
विश्वास, एतिबार, आस्था,
Habaab = bubble
बुलबुला,

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...