Ek aalam-e-hijraa'n hi ab hum ko pasand aaya,
Ye khana-e-viraa'n hi ab hum ko pasand aaya,
Benaam-o-nishaan rahna ghurbat ke ilaaqe mein,
Ye shahr bhi dilkash tha tab hum ko pasand aaya,
Tha laal hua manzar sooraj ke nikalne se,
Wo waqt tha wo chehra jab hum ko pasand aaya,
Hai qat-e-ta'alluq se dil khush bhi bahut apna,
Ek had hi bana lena kab hum ko pasand aaya,
Aana wo 'Muneer' us ka be-khauf-o-khatar hum tak,
Ue turfa tamasha bhi shab hum ko pasand aaya.!!
"Muneer Niyazi"
___
Turfa = strange, agreeable, wonderful, rare,
No comments:
Post a Comment