Wednesday, January 3, 2018

Dil Jal Raha Tha Ghum Se Magar Naghma-gar Raha

Dil jal raha tha ghum se magar naghma-gar raha,
Jab tak raha main saath mere ye hunar raha,

Subah-e-safar ki raat thi taare the aur hawa,
Saaya sa ek der talak baam par raha,

Meri sada hawa mein bahut door tak gai,
Par main bula raha tha jise, be-khabar raha,

Guzri hai kya maze se khayaalo'n mein zindagi,
Doori ka ye tilism bada kaargar raha,

Khauf aasmaan ke saath tha sar par jhuka hua,
Koi hai bhi ya nahin hai yahi dil mein darr raha,

Us aakhiri nazar mein ajab dard tha 'Muneer',
Jaane ka us ke ranj mujhe umr bhar raha.!!

"Muneer Niyazi"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...