Ghum ki baarish ne bhi tere naqsh ko dhoya nahin,
Tu ne mujh ko kho diya main ne tujhe khoya nahin,
Neend ka halka gulaabi sa khumaar aankho'n mein tha,
Yoon laga jaise wo shab ko der tak soya nahin,
Har taraf deewar-o-dar aur un mein aankho'n ke hujoom,
Kah sake jo dil ki haalat wo lab-e-goya nahin,
Jurm aadam ne kiya aur nasl-e-aadam ko saza,
Kaat'ta hoon zindagi bhar main ne jo boya nahin,
Jaanta hoon ek aise shakhs ko main bhi 'Muneer',
Ghum se patthar ho gaya lekin kabhi roya nahin.!!
"Muneer Niyazi"
No comments:
Post a Comment