Be-khyaali mein yunhi bas ek iraada kar liya,
Apne dil ke shauq ko had se zyaada kar liya,
Jaante the dono'n hum us ko nibha sakte nahin,
Us ne waada kar liya main ne bhi waada kar liya,
Ghair se nafrat jo pa li kharch khud par ho gai,
Jitne hum the hum ne khud ko us se aadha kar liya,
Shaam ke rango'n mein rakh kar saaf paani ka gilaas,
Aab-e-saada ko hareef-e-rang-e-baada kar liya,
Hijrato'n ka khauf tha ya pur-kashish kuhna maqaam,
Kya tha jis ko hum ne khud deewaar-e-jaada kar liya,
Ek aisa shakhs banta ja raha hun main 'Muneer',
Jis ne khud par band husn o jaam o baada kar liya.!!
"Muneer Niyazi"
___
Hareef-e-rang-e-baada = rival of colour of wine,
Kuhna = ancient,
Deewaar-jaada = wall of path,
Baada = wine, spirits, booze,
No comments:
Post a Comment