Bechain bahut phirna ghabraaye hue rahna,
Ek aag si jazbo'n ki dahkaaye hue rahna,
Chhalkaaye hue chalna khushbu lab-e-laalee'n ki,
Ek baagh sa saath apne mahkaaye hue rahna,
Us husn ka shewa hai jab ishq nazar aaye,
Parde mein chale jaana sharmaaye hue rahna,
Ek shaam si kar rakhna kaajal ke karishme se,
Ek chaand sa aankho'n mein chamkaaye hue rahna,
Aadat hi bana li hai tum ne to 'Muneer' apni,
Jis shahr mein bhi rahna uktaaye hue rahna.!!
"Muneer Niyazi"
___
Lab-e-laalee'n = redness of the lips, ruby coloured lips,
No comments:
Post a Comment