Zara si be-sukooni hai,
Mujhe is zindgaani se
koi shikwa nahin lekin,
Zara si be-sakooni hai,
Na jane kyun mere dil main,
Ajab ik khauf rehta hai,
Mujhe mahsoos hota hai,
Mere dil par tumhari yaad ki dastak
main ab woh shiddat nahin hoti,
Bahut hi khaas baatein hain,
Mujhe jo aam lagti hain,
Mere dil par inhein sun kar koi tufaan nahin uthta,
Tumhari sharbati aankhein,
Tumhara khwaab sa chehra,
Tumhara makhmali lahja,
Sabhi kuch khwaab lagta hai,
Mujhe mahsoos hota hai,
Sunehri titliyon jaise,
Woh sab khush-rang se sapne,
Mere lafzon ke phoolon par bahut din se nahin baithe,
Mujhe mahsoos hota hai,
Samay ki tez lahron ne,
Hamaare ret ke kachchay gharonde tod daale hain,
Mujhe in tez lahron se,
Sunehri titliyon jaise,
Sabhi khush-rang sapnon se koi shikwa nahin lekin.....
Zara si be-sakooni hai,
Mujhe mahsoos hota hai,
Tumhaare dil ke darwaaze par,
Meri yaad ki dastak meri jaan ab nahin hoti,
Ke meri yaad aaye to tumhaari aankh bhar aaye,
Duaaein maangte lamhe,
Mujhe tum bhool jaati ho,
Magar phir bhi mujhe tum se koi shikwa nahin lekin......
Ajab si be-sakooni hai,
Ajab sa khauf rahta hai,
Main tum ko bhool jaaunga..!!
______________________________
No comments:
Post a Comment