Friday, December 8, 2017

Baat Niklegi To Bahut Door Talak jaayegi

Baat niklegi to bahut door talak jaayegi,

Log bewajah udaasi ka sabbab poochen ge,

Yeh bhi poochenge ke tum itni pareshaa'n kyun ho,
Jagmagate huye lamhon se gurezaa'n kyun ho,

Ungliyan utheingi sookhe huye baalo'n ki taraf,
Ek nazar dekhenge guzre huye saalo'n ki taraf,

Choodiyo'n par bhi kayi tanz kiye jaayenge,
Kaampte hatho'n par bhi fiqre kasay jaayenge,

Phir kahenge ke hansi main bhi khafa hoti hain,
Ab to ruhi ki namazein bhi qazaa hoti hain,

Log zalim hain har ek baat ka taana denge,
Baaton baaton main mera zikr bhi le aayenge,

In ki baaton ka zara sa bi asar mat lena,
Warna chehre ke ta'assur se samajh jaayenge,

Chaahe kuch bhi ho sawalaat na karna un se,
Mere baaray main koi baat na karna un se,

Baat niklegi to bahut door talak jaayegi..!!
____________________________________

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...