Mohabbat woh kahaani hai,
Jis ki ibtida se hi humein maloom hota hai,
Ke us ki inteha kya hai,
Magar hum phir bhi sunte hain,
Humein maloom hota hai,
Ke kis kirdaar ne kis mod par kya chaal chalni hai,
Humein maloom hota hai,
Ke kin raahon pe kis ko surat-e-gard-e-safar ho kar,
Safar ki inteha tak humsafar ke saath rehna hai,
Humein maloom hota hai,
Ke kis kirdaar ko ik roz yeh bhi kahna hai,
Ke koi bewafa hoga to aakhir kis liye hoga,
Koi tujh se juda hoga to aakhir kis liye hoga,
Humein maloom hota hai,
Ke kis ne ek din kya kah ke kis ko chod dena hai,
Mohabbat main kiya har ek wada tod dena hai,
Humein maloom hota hai,
Humein yeh bhi khabar hoti hai ke
Is qissa-e-benaam ke kirdaar kya kya hain,
Haqeeqat ya fareb-e-zindagi,
Aasaar kya kya hain,
Humein maloom hota hai,
Mohabbat ki kahani main,
Woh kya kirdaar hai jo dar-haqeeqat hum hi hote hain,
Woh kya kirdaar hai jo dar-haqeeqat koi aisa shakhss hota hai,
Jise hum jaante to hain magar benaam hota hai,
Humein maloom hota hai,
Ke kis kirdaar ka kya anjaam hona hai,
Mohabbat woh kahaani hai,
Ke jis ki ibtidaa se hi humein maloom hota hai,
Ke is ki inteha kya hai,
Magar hum phir bhi sunte hain..!!
_______________________________
No comments:
Post a Comment