Zehn ke khyaalon main,
Rooh ke ujaalon main,
Zindagi ki jheelon main,
Zaat ki faseelon main,
Ratjago'n ke daaman main,
Dil ke khushk sahraa main,
Chashm-e-tar ke ke dariyaa main,
Dard ke jahaan main bhi,
Ashk-e-be-zubaan main bhi,
Aur kuch nahin rahta,
Teri yaad rahti hai..!
___________________________
No comments:
Post a Comment