* Nazm *
__________
Ye mahlon, ye takhton, ye taajon ki duniya..
Ye insaan ke dushman samaajon ki duniya..
Ye daulat ke bhookhe riwaajon ki duniya..
Ye duniya agar mil bhi jaaye to kya hai.!
Har ek jism ghayal har ek rooh pyaasi..
Nigaahon mein uljhan dilon mein udaasi..
Ye duniya hai ya aalam-e-bad-hawaasi..
Ye duniya agar mil bhi jaaye to kya hai.!
Yahaan ek khilauna hai insaan ki hasti..
Ye basti hai murda-paraston ki basti..
Yahaan par to jeewan se hai maut sasti..
Ye duniya agar mil bhi jaaye to kya hai.!
Jawaani bhatakti hai bad-kaar ban kar..
Jawaan jism sajte hain bazaar ban kar..
Yahaan pyaar hota hai bewpaar ban kar..
Ye duniya agar mil bhi jaaye to kya hai.!
Ye duniya jahaan aadmi kuchh nahin hai..
Wafa kuchh nahin dosti kuchh nahin hai..
Jahaan pyaar ki qadr hi kuchh nahin hai..
Ye duniya agar mil bhi jaaye to kya hai.!
Jala do ise phoonk daalo ye duniya..
Mere saamne se hata lo ye duniya..
Tumhaari hai tum hi sambhaalo ye duniya..
Ye duniya agar mil bhi jaaye to kya hai.!!
"Sahir Ludhianwi"
No comments:
Post a Comment