Friday, December 8, 2017

Ab Kis Se Kahein Aur Kaun Sune

Ab kis say kahain aur kaun sunay
Jo haal tumharay baad hua,

Is dil ki jheel see aankhon main
Ek khwaab bahut barbaad hua,

Ye hijr-hawa bhi dushman hai,
Is naam kay saaray rango'n ki...

Wo naam jo meray hontho'n par
Khushboo ki tarah aabaad hua,

Is shahar main kitnay chehray thay
kuch yaad nahi sab bhool gaye...

Ek shakhs kitaabo'n jaisa tha
Wo shakhs zubaani yaad hua

Wo apnay gaao'n ki galiyaa'n thi'n
Dil jin main naachta gaata tha,

Ab us say farq nahi padta
Na-shaad hua ya shaad hua,

Be-naam sataaish rahti thi
Un gahri saanwali aankho'n main,

Aisa to kabhi socha bhi na tha dil ab jitna be-daad hua.!!

Noshi Gilaani

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...