Mohabbat rog hai jaanaa,
Ajab sanjog hai jaanaa,
Yeh kaisa rog hai jaanaa,
Bade boodhe bataate thay,
Kayi qissey sunaate thay,
Magar hum maante kab thay,
Yeh sab kuch jaante kab thay,
Bahut pukhta iraade kis tarah se toot jaate hain,
Humein idraak hi kab tha,
Humein kaamil bharosa tha,
Hamare saath kisi soorat bhi aisa ho nahin sakta,
Yeh dil kaboo se bekaboo kabhi bhi ho nahin sakta,
Magar phir yoon hua Jaanaa,
Na jaane kyun hua jaanaa,
Jigar ka khoo'n hua Jaanaa,
Tere abru ki ik jumbish,
Tere sar ke ishaare par,
Gulaabi muskurahat par,
Chehra-e-masoomana par,
Jafaa-e-mehermana par,
Sadaa-e-dilrubaana par,
Adaaa-e-qaatilana par,
Ghayel ho gaye hum bhi,
Bade bebaak phirte thay,
Aur maayel ho gaye hum bhi,
Sakhawat karne aaye thay,
Aur saayel ho gaye hum bhi,
Bade boodhon ki baaton ke,
Qaayel ho gaye hum bhi,
Mohabbat rog hai jaanaa..!!
_____________________________
No comments:
Post a Comment