Juda rahta hoon main tujh se to dil betaab rahta hai,
Chaman se door rah ke phool kab shadaab rahta hai...
Andhere aur ujaale ki kahaani sirf itni hai,
Jahaan mahboob rahta hai wahin mahtaab rahta hai...
Muqaddar mein likha kar laaye hain hum boriya lekin,
Tasawwur mein hamesha resham-o-kam-khwaab rahta hai...
Hazaaron bastiyaan aa jaayengi tufaan ki zad mein,
Meri aankhon mein ab aansoo nahin sailaab rahta hai...
Bhale lagte hain schoolon ki uniform mein bachche,
Kanval ke phool se jaise bhara talaab rahta hai...
Ye bazaar-e-hawas hai tum yahaan kaise chale aaye,
Ye sone ki dukaanein hain yahaan tezaab rahta hai...
Humaari har pareshani inhi logon ke dum se hai,
Humaare saath ye jo halqa-e-ahbaab rahta hai...
Badi mushkil se aate hain samajh mein lucknow waale,
Dilon mein faasle lab par magar aadaab rahta hai..!!
"Munawwar Rana"
____________________
Resham-o-kam-khwaab = silk and precious cloth,
____________________
جدا رہتا ہوں میں تجھ سے تو دل بے تاب رہتا ہے
چمن سے دور رہ کے پھول کب شاداب رہتا ہے..
اندھیرے اور اجالے کی کہانی صرف اتنی ہے
جہاں محبوب رہتا ہے وہیں مہتاب رہتا ہے..
مقدر میں لکھا کر لائے ہیں ہم بوریا لیکن
تصور میں ہمیشہ ریشم و کمخواب رہتا ہے..
ہزاروں بستیاں آ جائیں گی طوفان کی زد میں
مری آنکھوں میں اب آنسو نہیں سیلاب رہتا ہے..
بھلے لگتے ہیں اسکولوں کی یونیفارم میں بچے
کنول کے پھول سے جیسے بھرا تالاب رہتا ہے..
یہ بازار ہوس ہے تم یہاں کیسے چلے آئے
یہ سونے کی دکانیں ہیں یہاں تیزاب رہتا ہے..
ہماری ہر پریشانی انہی لوگوں کے دم سے ہے
ہمارے ساتھ یہ جو حلقۂ احباب رہتا ہے..
بڑی مشکل سے آتے ہیں سمجھ میں لکھنؤ والے
دلوں میں فاصلے لب پر مگر آداب رہتا ہے..
No comments:
Post a Comment