Monday, December 11, 2017

Ghar Mein Rahte Hue Ghairon Ki Tarah Hoti Hain

Ghar mein rahte hue ghairon ki tarah hoti hain,
Ladkiyaan dhaan ke paudhon ki tarah hoti hain...

Ud ke ek roz bahut door chali jaati hain,
Ghar ki shaakhon pe ye chidiyon ki tarah hoti hain...

Sahmi sahmi hui rahti hain makaan-e-dil mein,
Aarzuein bhi ghareebon ki tarah hoti hain...

Toot kar ye bhi bikhar jaati hain ek lamhe mein,
Kuchh ummeedein bhi gharondon ki tarah hoti hain...

Aap ko dekh ke jis waqt palat'ti hai nazar,
Meri aankhein meri aankhon ki tarah hoti hain.!!

"Munawwar Rana"
____________________

گھر میں رہتے ہوئے غیروں کی طرح ہوتی ہیں
لڑکیاں دھان کے پودوں کی طرح ہوتی ہیں..

اڑ کے اک روز بہت دور چلی جاتی ہیں
گھر کی شاخوں پہ یہ چڑیوں کی طرح ہوتی ہیں..

سہمی سہمی ہوئی رہتی ہیں مکان دل میں
آرزوئیں بھی غریبوں کی طرح ہوتی ہیں..

ٹوٹ کر یہ بھی بکھر جاتی ہیں اک لمحے میں
کچھ امیدیں بھی گھروندوں کی طرح ہوتی ہیں..

آپ کو دیکھ کے جس وقت پلٹتی ہے نظر
میری آنکھیں مری آنکھوں کی طرح ہوتی ہیں.. 

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...