Monday, December 11, 2017

Duniya Teri Raunaq Se Main Uub Raha Hoon

Duniya teri raunaq se main ab oob raha hoon,
Tu chaand mujhe kahti thi main doob raha hoon.

Ab koi shanaasa bhi dikhaai nahin deta, 
Barson main isi shahar ka mahboob raha hoon.

Main khwaab nahin aap ki aankhon ki tarah tha,
Main aap ka lahja nahin usloob raha hoon.

Ruswaai mere naam se mansoob rahi hai,
Main khud kahaan ruswaai se mansoob raha hun.

Sachchaai to ye hai ki tere qarya-e-dil mein,
Ek wo bhi zamaana tha ke main khoob raha hoon.

Us shahar ke patthar bhi gawaahi meri denge,
Sahra bhi bata dega ke majzoob raha hoon.

Duniya mujhe saahil se khadi dekh rahi hai,
Main ek jazeere ki tarah doob raha hoon.

Shohrat mujhe milti hai to chup-chaap khadi rah,
Ruswaai main tujh se bhi to mansoob raha hun.

Phenk aaye the mujh ko bhi mere bhaai kun'ein mein,
Main sabr mein bhi hazrat-e-ayyoob raha hoon..!!

"Munawwar Rana"
____________________

Usloob = way, style, manner, method,
Mansoob = appointed, nominated, fixed, related to manifestation,
Qarya-e-dil = region of heart,
Majzoob = attracted, drawn, abstracted, a man who is not in full possession of his senses,
____________________

دنیا تری رونق سے میں اب اوب رہا ہوں
تو چاند مجھے کہتی تھی میں ڈوب رہا ہوں.. 

اب کوئی شناسا بھی دکھائی نہیں دیتا
برسوں میں اسی شہر کا محبوب رہا ہوں..

میں خواب نہیں آپ کی آنکھوں کی طرح تھا
میں آپ کا لہجہ نہیں اسلوب رہا ہوں.. 

رسوائی مرے نام سے منسوب رہی ہے
میں خود کہاں رسوائی سے منسوب رہا ہوں..

سچائی تو یہ ہے کہ ترے قریۂ دل میں
اک وہ بھی زمانہ تھا کہ میں خوب رہا ہوں..

اس شہر کے پتھر بھی گواہی مری دیں گے
صحرا بھی بتا دے گا کہ مجذوب رہا ہوں.. 

دنیا مجھے ساحل سے کھڑی دیکھ رہی ہے
میں ایک جزیرے کی طرح ڈوب رہا ہوں..

شہرت مجھے ملتی ہے تو چپ چاپ کھڑی رہ
رسوائی میں تجھ سے بھی تو منسوب رہا ہوں..

پھینک آئے تھے مجھ کو بھی مرے بھائی کنویں میں
میں صبر میں بھی حضرت ایوب رہا ہوں..

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...