Monday, December 11, 2017

Dohra Raha Hoon Baat Puraani Kahi Hui

Dohra raha hoon baat puraani kahi hui,
Tasveer tere ghar mein thi meri lagi hui.!
 
In bad-naseeb aankhon ne dekhi hai baar baar,
Deewar mein ghareeb ki khwaahish chuni hui.!

Taaza ghazal zaroori hai mahfil ke waaste,
Sunta nahin hai koi dobaara suni hui.!

Muddat se koi doosra rahta hai hum nahin,
Darwaaze par hamaari hai takhti lagi hui.!

Jab tak hai Dor haath mein tab tak ka khel hai,
Dekhi to hongi tum ne patangein kati hui.!

Jis ki judaai ne mujhe shayir bana diya, 
Padhta hoon main ghazal bhi usi ki likhi hui.!

Lagta hai jaise ghar mein nahin hoon main qaid hoon,
Milti hain rotiyaan bhi jahaan par gini hui.!

Saanson ke aane jaane pe chalta hai karobaar,
Chhoota nahin hai koi bhi haandi jali hui.!

Ye zakhm ka nishaan hai jaayega der se,
Chhut'ti nahin hai jaldi se mehndi lagi hui.!!

"Munawwar Rana"
____________________

دہرا رہا ہوں بات پرانی کہی ہوئی
تصویر تیرے گھر میں تھی میری لگی ہوئی..

ان بد نصیب آنکھوں نے دیکھی ہے بار بار
دیوار میں غریب کی خواہش چنی ہوئی..

تازہ غزل ضروری ہے محفل کے واسطے
سنتا نہیں ہے کوئی دوبارہ سنی ہوئی..

مدت سے کوئی دوسرا رہتا ہے ہم نہیں
دروازے پر ہماری ہے تختی لگی ہوئی..

جب تک ہے ڈور ہاتھ میں تب تک کا کھیل ہے
دیکھی تو ہوں گی تم نے پتنگیں کٹی ہوئی.. 

جس کی جدائی نے مجھے شاعر بنا دیا
پڑھتا ہوں میں غزل بھی اسی کی لکھی ہوئی..

لگتا ہے جیسے گھر میں نہیں ہوں میں قید ہوں
ملتی ہیں روٹیاں بھی جہاں پر گنی ہوئی..

سانسوں کے آنے جانے پہ چلتا ہے کاروبار
چھوتا نہیں ہے کوئی بھی ہانڈی جلی ہوئی..

یہ زخم کا نشان ہے جائے گا دیر سے
چھٹتی نہیں ہے جلدی سے مہندی لگی ہوئی..

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...