Chhanw mil jaaye to kam daam mein bik jaati hai,
Ab thakan thode se aaraam mein bik jaati hai...
Aap kya mujh ko nawaazenge janaab-e-aali,
Saltanat tak mere inaam mein bik jaati hai..
Sher jaisa bhi ho is shahar mein padh sakte ho,
Chaaye jaisi bhi ho aasaam mein bik jaati hai...
Wo siyaasat ka ilaaqa hai udhar mat jaana,
Aabroo koocha-e-badnaam mein bik jaati hai.!!
"Munawwar Rana"
____________________
چھاؤں مل جائے تو کم دام میں بک جاتی ہے
اب تھکن تھوڑے سے آرام میں بک جاتی ہے..
آپ کیا مجھ کو نوازیں گے جناب عالی
سلطنت تک مرے انعام میں بک جاتی ہے..
شعر جیسا بھی ہو اس شہر میں پڑھ سکتے ہو
چائے جیسی بھی ہو آسام میں بک جاتی ہے..
وہ سیاست کا علاقہ ہے ادھر مت جانا
آبرو کوچۂ بدنام میں بک جاتی ہے..
No comments:
Post a Comment