Dhadakte saans lete rukte chalte main ne dekha hai,
Koi to hai jise apne mein palte main ne dekha hai...
Tumhaare khoon se meri rago'n mein khwaab raushan hai,
Tumhaari aadato'n mein khud ko dhalte main ne dekha hai...
Na jaane kaun hai jo khwaab mein aawaaz deta hai,
Khud apne-aap ko neendo'n mein chalte main ne dekha hai...
Meri khamoshiyo'n mein tairti hain teri aawazein,
Tere seene mein apna dil machalte main ne dekha hai...
Badal jayega sab kuchh baadalo'n se dhup chattkhegi,
Bujhi aankho'n mein koi khwaab jalte main ne dekha hai...
Mujhe ma'aloom hai un ki duaa'ien saath chalti hain,
Safar ki mushkilo'n ko haath malte main ne dekha hai.!!
"Aalok Shrivastav"
No comments:
Post a Comment