Jab bhi taqdeer ka halka sa ishaara hoga,
Aasman par kahin mera bhi sitaara hoga...
Dushmani neend se kar ke main bahut darta hoon,
Ab kahaan par mere khwaabo'n ka guzaara hoga...
Muntazir us ke hain hum kitne yugo'n se lekin,
Jaane kis daur mein wo chaand humaara hoga...
Main ne aankho'n ko chamakte hue dekha hai abhi,
Aaj phir in mein koi khwaab tumhaara hoga...
Dil parastaar nahin apna pujaari bhi nahin,
Dewta koi bhala kaise humaara hoga.!!
"Aalok Shrivastav"
No comments:
Post a Comment